kabhi yun bhi aa meri aankh mein ki meri nazar ko khabar na ho mujhe ek raat nawaz de magar is ke baad sahar na ho wo bada rahim o karim hai mujhe ye sifat bhi ata kare tujhe bhulne ki dua karun to meri dua mein asar na ho mere bazuon mein thaki thaki abhi mahw-e-khwab hai chandni na uthe sitaron ki palki abhi aahaton ka guzar na ho ye ghazal ki jaise hiran ki aankh mein pichhli raat ki chandni na bujhe kharabe ki raushni kabhi be-charagh ye ghar na ho kabhi din ki dhup mein jhum ke kabhi shab ke phul ko chum ke yun hi sath sath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho