ek zanjir hai silsila jism ka khatm hota nahin rabta jism ka jazba-e-na-tawan ko mayassar nahin mangta hai lahu zaiqa jism ka lamha lamha ajab kaifiyat maujzan tajrabon se juda tajraba jism ka dast-o-pa chandni chashm-o-lab chandni saf-o-shaffaf hai aaina jism ka bais-e-qurbat-e-rishta-e-jaan-o-dil fard aur fard se rabta jism ka tanha uryan badan aur wahshi zaghan khauf-angez hai waqia jism ka meri aankhon mein 'shahid' thaharta nahin kitna pur-pech hai zawiya jism ka