ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai har haqiqat yahan tamsil tak aa pahunchi hai ab ukhuwwat pe bharosa nahin karti duniya aagahi niyyat-e-qabil tak aa pahunchi hai ai mere munis o gham-khwar mujhe marne de baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai ab sukhan-war hi nahin khud ko musawwir likhiye shaeri ab fan-e-tashkil tak aa pahunchi hai koshish-e-amn-o-aman mein hi yahan logon ki zindagi shorish-e-tawil tak aa pahunchi hai be-hisi dekhiye is daur ke insanon ki jism kya ruh ki tahlil tak aa pahunchi hai fikr-e-'misdaq' ne hai khas masafat kar li aap ki aankh bhi is jhil tak aa pahunchi hai