main apne ashk mein khud ko bhigo raha hun abhi khata ko ashk-e-nadamat se dho raha hun abhi mujhe na chahiye takiya kisi bhi takiye ka main man ke hath pe sar rakh ke so raha hun abhi mere mizaj se nafrat rahi hai suraj ko main ham-kalam jo jugnu se ho raha hun abhi kisi bhi haal mein sauda zamir ka na karo main arz-e-nau mein yahi bij bo raha hun abhi nikal pada hun main khud ko talash karne ko main apne aap mein khud ko hi kho raha hun abhi mile jo bar qaza ke to mein utha bhi sakun tabhi hayat ke har bojh dho raha hun abhi main barishon mein kabhi dhup ki hararat mein gharaunda ghaur se dekha to ro raha hun abhi