e'tibar-e-nigah-e-yar ne dam tod diya aaj ek hijr ke bimar ne dam tod diya zist ke qafila-e-salar ne dam tod diya rah-e-ulfat mein dil-e-zar ne dam tod diya hai shifayab mariz-e-gham-e-hasti ai dost zindagi thak gai aazar ne dam tod diya kya kiya aap ne chehra se hata kar parda dafatan hasrat-e-didar ne dam tod diya kya tere saghar-e-dil ki wo khanak thi saqi jis ki aawaz pe mai-khwar ne dam tod diya manzil-e-azmat-e-ulfat ka pata pa na sake aql ki taqat-e-raftar ne dam tod diya aap ye aakhiri paigham-e-masarrat sun len ki 'hayat'-e-jigar-afgar ne dam tod diya