gham gawara bhi nahin gham se kinara bhi nahin aur is zindagi-e-ishq se chaara bhi nahin kis ne ulti hai ye apne rukh-e-taban se naqab chand to chand falak par koi tara bhi nahin main unhen apna kahun maslihaten us ke khilaf wo mujhe ghair samajh len ye gawara bhi nahin kya kiya hae ye ehsas-e-khud-agahi ne ab wahan hun ki jahan rah ke tumhaara bhi nahin jaane kya baat samajh lenge 'hayat' us ko wo hum ne is khauf se un ko to pukara bhi nahin