europe jis wahshat se ab bhi sahma sahma rahta hai khatra hai wo wahshat mere mulk mein aag lagaegi german gass-kadon se ab tak khun ki badbu aati hai andhi watan-parasti hum ko us raste le jaegi andhe kuen mein jhuth ki naw tez chali thi man liya lekin bahar raushan duniya tum se sach bulwaegi nafrat mein jo pale-badhe hain nafrat mein jo khele hain nafrat dekho aage aage un se kya karwaegi fankaron se puchh rahe ho kyon lautae hain samman puchho kitne chup baithe hain sharm unhen kab aaegi ye mat khao wo mat pahno ishq to bilkul karna mat desh-droh ki chhap tumhaare upar bhi lag jaegi ye mat bhulo agli naslen raushan shoala hoti hain aag kuredoge chingari daman tak to aaegi