na aasman ki kahani na wan ka qissa likh utha dawat o qalam aadmi ka chehra likh hazar shor samete hue hai mera wajud mere wajud ke sahra ko chashm-e-dariya likh bina-e-mausam-e-gham-ha-e-zat hai duniya ise tu rashk-e-iram likh ki shakh-e-tuba likh wo nur phaila wo phuti koi kiran taza tamam umr andhera hi tha na aisa likh jo maut pi gaya ek jam-e-ambagin ki tarah use tu maut ki manzil ka ek masiha likh wo ajnabi to zara ajnabi nahin lagta use to ghair na kah koi hai wo apna likh bichhad gaya hai to kya sath bhi to tha barson 'zahir' ruh o badan ka use tu rishta likh