ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de

ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de
sukun gar nahin deta to intishaar na de

tasalliyan mujhe be-kar gham-gusar na de
na hoga faeda kuchh aarzi bahaar na de

bahaar ki hai talab mujh ko baghban lekin
khizan-nasib jo ho wo mujhe bahaar na de

nazar na aae mujhe jis mein dost ki surat
tu aisa aaina-e-qalb kirdgar na de

talab hai garmi-e-pahlu-e-dost ki mujh ko
hawa-e-sard na de mujh ko juebar na de

hawa-e-zulf se sab ko sukun milta hai
ye aur baat hai dil ko mere qarar na de

asir-e-halqa-e-gesu karega aalam ko
kisi hasin ko allah eqtidar na de

tadap raha hun main aise ki jaise sanp dase
khuda kisi ko bhi sauda-e-zulf-e-yar na de

kisi ke dukh mein na tadpe jo dil wo dil hi nahin
jo zulm ko na mitae wo ikhtiyar na de

zaban-e-khalq ko naqqara-e-khuda na bana
buraiyon ka kabhi apni ishtihaar na de

suna hai un ki zaban par hamara shikwa hai
khuda hamari samaat ko eatibar na de

pade na dil se kahin un ke gard-e-ranj-o-alam
pata lahad ka uth uth kar unhen ghubar na de

'faza' ko jalwa-e-husn apna ek bar dikha
nazar ko lazzat-e-tauqir-e-intizar na de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close