jo phunk de dil-e-alam wo rah paida kar jo barq ban ke gire wo nigah paida kar khulus-o-khulq-o-mohabbat ki chah paida kar magar na is mein kabhi ishtibah paida kar sikhae sabr jo wo dars-gah paida kar sukun-o-amn ki ek shah-rah paida kar gham-e-jahan se hai bachna tujhe agar ai dil tu zer-e-daman-e-ulfat panah paida kar jo bazm mein hain fidai nahin hain sab teri parakh sake jo wafa wo nigah paida kar jo baghban ne nasheman jalaya ai bulbul samet kar jale tinke gawah paida kar agar bahaar-e-chaman ki hai aarzu ai dil hawa-e-dasht se bhi rasm-o-rah paida kar sanam ka dil mein zaban par khuda ka nam rahe gunah ke liye uzr-e-gunah paida kar hansi uda na mohabbat ki hae wae na kar jo dil ki huk bane aisi aah paida kar 'faza' yahi dil-e-betab ka taqaza hai harim-e-naz hi mein jae-gah paida kar