faeda aane se aise aa ke pachhtaen hain hum uth gae jab yan ke guzre aah tab aaen hain hum aur kuchh tohfa na tha jo late hum tere niyaz ek do aansu the aankhon mein so bhar laen hain hum tarfa haalat hai na wo aata hai na jata hai ji aur yahan be-taqati se dil ki ghabraen hain hum jis taraf jate wahan lagta nahin kya kijiye is dil-e-wahshi ke hathon sakht uktaen hain hum dekhiye ab kya jawab aawe wahan se ham-nashin nama to likh kar 'hasan' ka us ko pahunchaen hain hum