sukun-e-qalb kisi ko nahin mayassar aaj shikast-e-khwab hai har shakhs ka muqaddar aaj hai waz-e-haal meri kyun ye bad se bad-tar aaj amir-e-shahr ke badle hue hain tewar aaj har ek shakhs hai apne hisar mein mahsur hai sab ke darpai aazar wo sitamgar aaj kiya hai gardish-e-dauran ne dar-ba-dar sab ko jo sar mein pahle tha wo panw mein hai chakkar aaj samajh raha tha jise khair-khwah main apna wahi hai dushman-e-jaan mera sab se badh kar aaj fasil-e-shahr ke andar the kitne ahl-e-hunar nahin hai jin se shanasa koi bhi bahar aaj wo dars lete nahin jang-e-karbala se koi jo saf-shikan the wo hain dushmanon se shashdar aaj wo qaum kaise taraqqi karegi duniya mein nahin hai jis ka kahin koi ek rahbar aaj bikhar ke rah gaya khud jin ka apna shiraaza samajh rahe hain ki hain waqt ke sikandar aaj agar muhasba apna karen to paenge nahin hai hum se jahan mein koi bhi bad-tar aaj jo apne hath se kashti jalate the apni nahin milenge kahin aise wo qalandar aaj dikha raha hai mujhe sabz-bagh jo 'barqi' wo le ke phirta hai kyun aastin mein khanjar aaj