faeda hai ya khasara hum ko sab malum hai kyon karen hum istikhara hum ko sab malum hai log kyon khud ko batate hain hamara khair-khwah kaun hai kitna hamara hum ko sab malum hai kis ke ghar mein tirgi ka raj tha kal raat ko chand kis ke ghar utara hum ko sab malum hai zindagi hai nam jis ka zindagi hargiz nahin kar rahe hain sab guzara hum ko sab malum hai sau samundar aankh mein to sau kinare hath par kya samundar kya kinara hum ko sab malum hai kya khuli hai kaenati ramz ki sachchi kitab kya hua hai aashkara hum ko sab malum hai jaan de kar hi bachaya hum ne is dastar ko phir utha hai sar hamara hum ko sab malum hai apni aadat se to waqif hi nahin ab tak ye log laut aaenge dobara hum ko sab malum hai chand zarra hai hamari hi zamin ka 'iftikhar' aasman hai ek sitara hum ko sab malum hai