chand to dub gaya dard gawara kar ke meri aankhon mein ubharte rahe tare kya kya ab agar dasne lage hain to gila kya karna aastinon mein to khud sanp the pale kya kya main ne socha hi tha duniya ki haqiqat kya hai samne aane lage logon ke chehre kya kya khwab aankhon mein utarte to utarte kaise khud se bezar hun jab raat ke mare kya kya ab ye aalam hai meri khak udati hai hawa kabhi qadmon se lipat jate the raste kya kya koi sahraon se rishta hai yaqinan 'ahmad' meri jaanib chale aate hain bagule kya kya