fahmida hai jo tujh ko to fahmid se nikal aur did ka jo shauq hai to did se nikal zindan-e-hijr mein hamein saunpa tha ishq ne aae hain hum nasibon ki taid se nikal qalib mein mere yaro bhala kya samawi dam jab jaan ko kahe koi takid se nikal tashbib mein bhi lutf hai ek ai qasida-go itna shitab bhi tu na tamhid se nikal misre ko pahunche misra-e-sani bura hai kya kar le nikah aalam-e-tajrid se nikal kar tu uyub-e-nazm se parhez ai fulan shaer hai to tanafur o taqid se nikal hain yaad kab ai meri wahshat ke rang-dhang majnun gaya hai dasht ko taqlid se nikal wo mast main nahin hun ki maston ki kha ke dhul jaun sharab-khana-e-tauhid se nikal ho 'mushafi' tu ilm-e-ilahi ka aashna qaid-e-anasir aur mawalid se nikal