wo baaten teri wo fasane tere shagufta shagufta bahane tere bas ek dagh-e-sajda meri kaenat jabinen teri aastane tere mazalim tere aafiyat-afrin marasim suhane suhane tere faqiron ki jholi na hogi tahi hain bharpur jab tak khazane tere dilon ko jarahat ka lutf aa gaya lage hain kuchh aise nishane tere asiron ki daulat asiri ka gham nae dam tere purane tere bas ek zakhm-e-nazzara hissa mera bahaaren teri aashiyane tere faqiron ka jamghat ghadi-do-ghadi sharaben teri baada-khane tere zamir-e-sadaf mein kiran ka maqam anokhe anokhe thikane tere bahaar o khizan kam-nigahon ke wahm bure ya bhale sab zamane tere 'adam' bhi hai tera hikayat-kada kahan tak gae hain fasane tere