faisle ki us ghaDi ka iltawa achchha laga

faisle ki us ghadi ka iltawa achchha laga
ek rishta tutne se bach gaya achchha laga

jaan-e-man jaan-e-wafa khat mein likha achchha laga
dur se us ne mujhe apna kaha achchha laga

main ne gham ki dhun bhi chhedi aur khushi ka rag bhi
tum batao git mera kaun sa achchha laga

mujh mein kya jauhar mere tute hue aaine ko
aaj us ne chand ka tukda kaha achchha laga

ek din aai to phir wapas na tanhai gai
mere ujde ghar mein us ko jaane kya achchha laga

dil na chhodega ziden ye to wo baalak hai jise
ek khilauna mil gaya to dusra achchha laga

pesh kar din main ne fikr-o-fan ki taswiren hazar
khud pasandon ko magar ek aaina achchha laga

chandni yaadon ki thi 'parwin' aansu kyon bahae
kya kafan pe tujh ko moti tankna achchha laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close