tere kucha mein ghar bana leta main bhi apna maqam pa leta ye khushi kash koi shai hoti ab talak to ise chura leta qatl kar ke ghalat kiya tum ne ishq karte to main bacha leta us ne dil pash pash kar dala chaak par hota to bana leta aap ka to pata nahin lekin main jahan se faqat shifa leta