'faiz' aur 'faiz' ka gham bhulne wala hai kahin maut ye tera sitam bhulne wala hai kahin hum se jis waqt ne wo shah-e-sukhan chhin liya hum ko wo waqt-e-alam bhulne wala hai kahin tere ashk aur bhi chamkaengi yaaden us ki hum ko wo dida-e-nam bhulne wala hai kahin kabhi zindan mein kabhi dur watan se ai dost jo kiya us ne raqam bhulne wala hai kahin aakhiri bar use dekh na pae 'jalib' ye muqaddar ka sitam bhulne wala hai kahin