ki khud-numai na tashhir chahte hain hum bas apne hone ki tauqir chahte hain hum rihai ka yahi mafhum hai hamare liye pasand ki koi zanjir chahte hain hum ye dekhna hai ki raftar kar rahi hai kya tamam shahr ko taswir chahte hain hum bahut udas hai koi pados mein yaro zara si jashn mein takhir chahte hain hum zara si baat jo chhedi huquq ki hum ne utha ye shor ki jagir chahte hain hum hamein banaya gaya hai hadaf ye jaante hain to kyun nishane pe har tir chahte hain hum ye tod-phod zarurat hai koi shauq nahin nae sire se jo tamir chahte hain hum bas ek qafiya-paimai hum ne ki hai 'suhail' so ai ghazal teri tazir chahte hain hum