faiz ye uthaya hai be-zaban parindon se hum ne sikh lin mithi boliyan parindon se main to ud nahin sakta phir bhi mutmain hai dil aasman ki sunta hai dastan parindon se ai nae zamane ke dakiye tu kya jaane hum wasul karte the chitthiyan parindon se ek rah ek manzil ek hi hadaf un ka bhid hum se banti hai karwan parindon se bhuk pyas mein bhi hain jari un ki parwazen azm-o-hausla sikho na-tawan parindon se mat kaho khandar is ko ghaur se zara dekho kis qadar hai ba-raunaq ye makan parindon se jab zamin par koi hadsa nahin guzra chhup gaya hai kyon aakhir aasman parindon se