faKHr samjha dar-e-dildar pe mar jaane ko

fakhr samjha dar-e-dildar pe mar jaane ko
kaise danai ye sujhi tere diwane ko

naz-bardaron pe sab naz hua karte hain
kaun taklif diya karte hain begane ko

kyon wasile ki zarurat ho teri chahat mein
kya sikhata hai mohabbat koi parwane ko

main to jannat mein bhi jaane ka kabhi nam na lun
jab tak aaengi na huren mere le jaane ko

us ke wadon se ho kya khak tasalli 'saifi'
der lagti hi nahin jis ke mukar jaane ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close