zindagi ka lutf ab hasil nahin

zindagi ka lutf ab hasil nahin
hae wo saqi nahin mahfil nahin

ab wo lutf-o-sarkhushi hasil nahin
kya karun majbur hun wo dil nahin

koi pahlu bhi qarar-e-dil nahin
zindagi ko kuchh sukun hasil nahin

zindagi wo zindagi kis kaam ki
jab raza-e-dost hi hasil nahin

is chaman mein inqalab aaya to kya
fasl-e-gul bhi sazgar-e-dil nahin

allah allah ye hujum-e-arzu
khana-ha-e-dil mein ja-e-til nahin

ibtida-e-ishq ki manzil to hai
intiha-e-ishq ki manzil nahin

hai mere pesh-e-nazar us ka maal
karwan ab jaanib-e-manzil nahin

dil wahi dil hai ki jis mein dard ho
dard jis dil mein nahin wo dil nahin

tu hi kya hai mere dil se bad-guman
mujh ko khud bhi e'tibar-e-dil nahin

dagh-e-dil se kaun khali hai yahan
mah-e-kaamil bhi 'zaki' kaamil nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close