falah-e-admiyat mein saubat sah ke mar jaana yahi hai kaam kar jaana yahi hai nam kar jaana jahan insaniyat wahshat ke hathon zabh hoti ho jahan tazlil hai jina wahan behtar hai mar jaana yunhi dair o haram ki thokaren khate phire barson teri thokar se likkha tha muqaddar ka sanwar jaana sukun-e-ruh milta hai zamane ko tere dar se bahisht-o-khuld ke manind hum ne tera dar jaana hamari sada-lauhi thi khuda-bakhshe ki khush-fahmi ki har insan ki surat ko ma-fauq-ul-bashar jaana ye hai rindon pe rahmat roz-e-mahshar khud mashiyyat ne likha hai aab-e-kausar se nikhar jaana sanwar jaana chaman mein is qadar sahme hue hain aashiyan wale ki jugnu ki chamak ko sazish-e-barq-o-sharar jaana hamein khar-e-watan 'gulzar' pyare hain gul-e-tar se ki har zarre ko khak-e-hind ke shams o qamar jaana