hum ko mahrum-e-karam us ki jafa ne rakkha zist se tang kisi tang qaba ne rakkha sach to ye hai ki dua ne na dawa ne rakkha hum ko zinda tere daman ki hawa ne rakkha husn wale to bahut aur hain duniya mein magar un ko yakta-e-zaman un ki ada ne rakkha hasrat-e-did na sharminda-e-takmil hui tere jalwaon ne kahan hosh thikane rakkha zulm chup ho ke sahen aise to majbur na the hum ko lachaar magar teri raza ne rakkha rah-e-ulfat mein bahut aae maqam-e-laghzish shukr-sad-shukr bharam mera wafa ne rakkha bas hamin tak rahen mahdud jafaen un ki lutf itna to rawa ahl-e-jafa ne rakkha rasta rok liya fart-e-nazakat ne kabhi pas aae to unhen dur haya ne rakkha kabhi daman-o-gireban se ulajhte rahe hath dard-e-dil ne kabhi masruf dua ne rakkha yaad aate rahe be-tarah moattar gesu aaj bechain bahut baad-e-saba ne rakkha 'khar' dushman ne to ilzam tarashe kya kya surkh-ru mujh ko magar meri wafa ne rakkha