falak banaya gaya hai zamin banai gai aman ki koi jagah hi nahin banai gai nikalti kis tarah koi yaqin ki surat yaqin ki koi surat nahin banai gai chalenge hum bhi mohabbat-nagar samajh ke use gar aisi koi bhi basti kahin banai gai bujhe bujhe hue manzar wo jis maqam ke the hamare rahne ki surat wahin banai gai jab us ko ghaur se dekha to aankh bhar aai samajh raha tha main duniya hasin banai gai kasak sajai gai us mein pahle sajdon ki phir us ke baad hamari jabin banai gai 'nabil' utara gaya mujh ko aasman se yun fasurda khak meri ham-nashin banai gai