kisi ne phir se lagai sada udasi ki palat ke aane lagi hai faza udasi ki bahut udega yahan par fasurdagi ka ghubar ki phir se chalne lagi hai hawa udasi ki zamin-e-dil pe mohabbat ki aab-yari ko bahut hi tut ke barsi ghata udasi ki nazar nazar mein udasi dikhai dene lagi nagar nagar mein hai phaili waba udasi ki kisi tabib kisi chaaragar ke pas nahin koi ilaj koi bhi dawa udasi ki koi ilaj nahin hai to phir dua hi karen ki chhod jae hamein ye bala udasi ki ai aaftab ye aalam tera ghurub ke waqt sikhai kis ne tujhe ye ada udasi ki zamin-zadon ko wirsa mila hai aadam se hui thi khuld se hi ibtida udasi ki ye tere dil se teri ruh mein utar jae bichhadne wale ne di thi dua udasi ki ye dil ka kasa abhi kham hai ai kuza-gar tu aur aanch pe us ko tapa udasi ki