falak ka har sitara mah-e-taban ho nahin sakta har ek zarra kabhi mahr-e-darakhshan ho nahin sakta har ek chashme ka pani aab-e-haiwan ho nahin sakta har ek qatra jo girta hai wo naisan ho nahin sakta jo bulbul se ho khali wo gulistan ho nahin sakta jo dard-e-dil se khali ho wo insan ho nahin sakta chaman ka baghban koi sitam-ran ho nahin sakta koi sayyaad bulbul ka nigahban ho nahin sakta jahan par hon 'arastu' aur 'luqman' zinat-e-mahfil wahan ka sadr-e-mahfil koi nadan ho nahin sakta wafa kar ke bhi hum hain takhta-e-mashq-e+sitam-rani jafa-karon se apna ahd-o-paiman ho nahin sakta dharam ko din ko mazhab ko aapas mein jo takrae wo hindu ho nahin sakta musalman ho nahin sakta tere bahr-e-sukun mein ek tufan ki zarurat hai tadap paida na ho jab tak wo tufan ho nahin sakta utha laun na jab tak aasman se mah-o-anjum ko mere zulmat-kade mein yun charaghan ho nahin sakta chaman walo na ho jis khun mein rang-o-bu-e-azadi kata kar sar bhi wo khun-e-shahidan ho nahin sakta 'nishat'-e-dil-hazin takraenge ja kar falak se ye agar in dard ke nalon ka darman ho nahin sakta