rah rah ke hoti jati hai duniya tamam-shud hota nahin hai ishq ka qissa tamam-shud pyase to apne hont bhigo kar chale gae lekin hawas se kab hua dariya tamam-shud bikhra ke moti ishq ke har naqsh-e-pa ke sath us ne kiya hai dasht-e-tamanna tamam-shud girta hai ek parda andhere ka zist par hota hai roz ek tamasha tamam-shud kuchh bhi nahin bachega jahan mein siwa-e-ishq majnun tamam ho gaya laila tamam-shud ghuncho ki mauj us ke tabassum pe hai ayan kar degi meri aankhon ka sahra tamam-shud aankhon mein le ke phirti hai naz-o-ada ke rang lahra ke khinch lun to ho sahba tamam-shud ek zakhm jis mein tir bhi paya gaya na jazb us par hua hai ilm-e-masiha tamam-shud dubenge ek qulzum-e-khun hi mein hum sabhi hogi har ek hasti-e-ashya tamam-shud keh kar gaya ye aashiq bedar arsh se hum ja rahe hain tum karo charcha tamam-shud utthegi jab bhi mauj qayamat ki tab 'nadim' kaba tamam hoga kalisa tamam-shud