falak ke par mere aks ka khazana hai fana ke shahr mein mera kahan thikana hai paron ko tol raha hun bulandiyon ki taraf mere wajud mein betab ek diwana hai ye kaenat hai naqshe mein daere ki tarah har ek shai ke muqaddar mein ghum jaana hai jabin baqa ke samundar mein jhuk gai to khula mere wajud ke andar bhi ek zamana hai mere khuda teri rahmat to be-karan thahri hamara shauq to gandum ka ek dana hai furaat kosta rahta hun tere pani ko hamara dard bhi 'tariq' bada purana hai