ab ye gulzar hain sab mere liye Khaar miyan

ab ye gulzar hain sab mere liye khar miyan
main ne jalte hue suraj ko kiya par miyan

aap samjhe hi nahin asl mein takhliq ka raaz
waqt ka pahla sahifa hai sirf pyar miyan

aaj bhi pure taqaddus se munawwar hai saman
ilm ki pahli tilawat hai wahi ghaar miyan

ye jawani ye budhapa hua kuchh yaad nahin
hum ki aise hue haalat se do-chaar miyan

sar katate hi bulandi ki taraf uthte hain
karbala walon ke shajre mein kahan haar miyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close