falak ko jaise sitaron ne gher rakkha hai hamein yun tere khayalon ne gher rakkha hai hamare ghar mein andhere bhatak nahin sakte hamare ghar ko ujalon ne gher rakkha hai tumhaari yaad hamein aise ghere rahti hai nadi ko jaise kinaron ne gher rakkha hai hamare zehn mein kya aaegi koi ladki hamara zehn to huron ne gher rakkha hai khabar ye jis ko mili pad gaya wo hairat mein ki ek shakhs ko lakhon ne gher rakkha hai tumhaare sath guzare the jo kabhi ai dost hamein to bas inhin lamhon ne gher rakkha hai jawab jin ke zamane mein mil nahin sakte mujhe kuchh aise sawalon ne gher rakkha hai tumhaare hijr ka hum ko nahin hai koi gham tumhaare wasl ki yaadon ne gher rakkha hai jo tum gae to na aai koi bahaar 'asim' hamara bagh khizaon ne gher rakkha hai