guman ke rakhsh-e-subuk ki ayal thame hue bhatak raha hun junun mein khayal thame hue baqa ki jang mein khud se falak se duniya se main lad raha hun tamanna ki dhaal thame hue wo kashmakash bhi shanasaiyon ki kya hogi milenge khud se jab apne sifal thame hue har ek pal koi bar-e-garan sa lagta hai ki jaise lamha guzarta hun sal thame hue sarosh-e-ghaib ke mabad ke samne masjud sabhi jawab hain gum-sum sawal thame hue main zer-e-mauj-e-bala sirf itna dekh saka zaif hath purana sa jal thame hue zamin-e-chashm ki andhi amiq tah mein kahin ghusil khwab hain 'asim' kudal thame hue