falak mein bij bota hun magar ugta nahin kuchh bhi main jaisa sochta hun us tarah hota nahin kuchh bhi main aankhen band kar ke zindagi apni guzarunga bahut kuchh samne maujud hai achchha nahin kuchh bhi main din bhar kya kiya kyon yaad rakkhun us se kya hasil main kal kya karne wala hun abhi socha nahin kuchh bhi siyasat falsafe tanzim wade khokhle sare yahan kya kuchh hua hai aur phir hoga nahin kuchh bhi dikhata hai sabhi aib-o-hunar aur bhul jata hai ek aaina hai jo dil mein kabhi rakhta nahin kuchh bhi yahi 'kishwar hai bas umr-e-khizar ka mustahiq ya-rab teri duniya mein is ne aaj tak dekha nahin kuchh bhi