har koi saeban ke niche hai chand bhi aasman ke niche hai yaad-e-mazi hai khar ka jangal aur dil-e-na-tawan ke niche hai zalzale bin zamin hilti hai kuchh to mere makan ke niche hai shama ki lau nazar nahin aati ek dhuan sa dhuan ke niche hai ya to dil par chatan hai 'kishwar ya wo aatish-fishan ke niche hai