falak ne abr mere sine ka bukhar kiya mujhe mujhi pe sitamgar ne ashk-bar kiya har ek zarre ne ijad sad-bahaar kiya ye meri khak ko kis gul ne rahguzar kiya bala hai shauq-e-shahadat na us ne war kiya jigar ko aap hi badh kar sinan ke par kiya main khush hun wada-e-farda pe kaun shakhs hun main wo shokh aur ye umr us pe eatibar kiya kuchh aisi chiz na the do-jahan kya hote dikha ke aaina tum par tumhein nisar kiya zamin mein zalzala hai aasman mein tahlka hai kisi ne aaj kisi dil ko be-qarar kiya ye aable nahin nikli hai aankh har mu par tera to mere sarape ne intizar kiya mazaq-e-ishq to dekho ki dil hi dil nikle jo chaak sina mera surat-e-anar kiya hanuz sang mein aaina hai khusha farhad ki baad-e-marg bhi shirin ka intizar kiya tariq-e-ishq mein ki be-khudi se tai manzil ye thi wo rah ki na apna bhi eatibar kiya ki kyun ho aashiq-o-mashuq ka jahan dushman ki husn-o-ishq ne achchhon ko be-qarar kiya udhar wo jalwa ki musa ko be-hawas rakha idhar ye jazba ki yusuf ko be-dayar kiya saron pe dawar-e-mahshar ne farsh kin aankhen tumhaare aane ka kya kya na intizar kiya 'bayan' mera dil-e-khunin wo qatra hai jis ko muhit-e-azam-e-gham-ha-e-rozgar kiya