gardish mein sitare hon jis ke duniya ko bhala kab bhata hai wo lakh patak le sar apna par jag se saza hi pata hai muflis ka bhi jina kya jina jo ghunt lahu ke pi jae jitna wo jhuke jag ke aage utni hi wo thokar khata hai ai dard chala ja aur kahin is dil ko bhi thodi rahat ho kyon uth ke gharibon ke dar se mujh ko hi sada tadpata hai itna bhi na achchha wahshi-pan daulat ke nashe mein pagal sun jo hai na kabhi tikne wali us chiz pe kyon itraata hai bheja tha bana jis ko rahbar par pesh wo rahzan sa aaya ab kaise yaqin us par kar len jo rang badal phir aata hai mana ki jahan nayab khuda karigari hai is mein teri par dil ko manaen kaise hum rah kar jo yahan ghabraata hai ye shauq naman ne pala hai dukh dard pirota ghazlon mein bedard zamane par hansta mazlum pe aansu lata hai