falak ne gar kiya rukhsat mujhe sair-e-bayaban ko nikala sar se mere jae mu khar-e-mughilan ko wo zalim bhi to samjhe kah rakha hai hum ne yaran ko ki goristan se gaden juda hum ahl-e-hijran ko nahin ye bed-e-majnun gardish-e-gardun-e-gardan ne banaya hai shajar kya jaaniye kis mu pareshan ko hue the jaise mar jate par ab to sakht hasrat hai kiya dushwar nadani se hum ne kar-e-asan ko kahin nasl aadmi ki uth na jawe is zamane mein ki moti aab-e-haiwan jaante hain aab-e-insan ko tujhe gir chashm-e-ibrat hai to aandhi aur bagule se tamasha kar ghubar-afshani khak-e-azizan ko libas-e-mard-e-maidan jauhar-e-zati kifayat hai nahin piroe poshish marke mein tegh-e-uryan ko hawa-e-abr mein garmi nahin jo tu na ho saqi dam afsurda kar de munjamid rashhat-e-baran ko jalen hain kab ki mizhgan aansuon ki garm-joshi se us aab-e-chashm ki joshish ne aatish di nistan ko wo kafir ishq ka hai dil ki meri bhi rag-e-jaan tak sada zunnar hi tasbih hai us na-musalman ko ghurur-e-naz se aankhen na kholin is jafa-ju ne mila panw tale jab tak na chashm-e-sad-ghazalan ko na si chashm-e-tama khwan-e-falak par kham-dasti se ki jam-e-khun de hai har sahar ye apne mehman ko zi-bas sirf junun mere hua aahan ajab mat kar na ho gar halqa-e-dar khana-e-zanjir-sazan ko bane na-waqif-e-shadi agar hum bazm-e-ishrat mein dahan-e-zakhm-e-dil samjhe jo dekha ru-e-khandan ko nahin reg-e-rawan majnun ke dil ki be-qarari ne kiya hai muztarib har zarra-e-gard-e-bayaban ko kisi ke waste ruswa-e-alam ho pe ji mein rakh ki mara jae jo zahir kare us raaz-e-pinhan ko giri padti hai bijli hi tabhi se khirman gul par tak ek hans mere rone par ki dekhe tere dandan ko ghurur-e-naz-e-qatil ko liye ja hai koi puchhe chala to saunp kar kis ke tain us said-e-be-jaan ko wo tukhm-e-sokhta the hum ki sar-sabzi na ki hasil milaya khak mein dana namat hasrat se dahqan ko hua hun ghuncha-e-pazhmurda aakhir fasl ka tujh bin na de barbaad hasrat kusta-e-sar-dar-gareban ko gham-o-andoh-o-be-tabi alam be-taqati hirman kahun ai ham-nashin ta-chand gham-ha-e-firawan ko gul-o-sarw-o-saman gir jaenge mat sair-e-gulshan kar mila mat khak mein un bagh ke raana jawanan ko bahut roe jo hum ye aastin rakh munh pe ai bijli na chashm-e-kam se dekh us yaadgar-e-chashm-e-giryan ko mizaj us waqt hai ek matla-e-taza pe kuchh mail ki be-fikr sukhan banti nahin hargiz sukhan-dan ko