yun chale daur to rindon ka bada kaam chale khum badhe shisha jhuke baada dhale jam chale jhel kar ahl-e-jahan sadma-o-alam chale shad-kaam aae jo duniya mein wo nakaam chale be-piye kuchh nahin jine ka maza ai saqi raat-din jam chale jam chale jam chale kucha-e-ishq mein taklif hi taklif rahi hum ba-aram na aae na ba-aram chale hath par hath dhare ahl-e-nazar baithe hain husn agar kaam chalae to koi kaam chale zinda rahne ke maqasid hain haqiqat mein yahi hath panw apne chalen kaam chale nam chale wadi-e-ishq mein rahbar ki zarurat kya hai hum chalen aur hamara dil-e-nakaam chale muskuraate hain jo ghunche to khile jate hain phul daur-e-jam aise mein ai saqi-e-gulfam chale ghair mumkin hai baghair us ke mohabbat ka nibah dil se milta nahin jab dil hi to kya kaam chale muddaa ye hai nikal aae dobara khurshid ki jahan sham hui aap sar-e-baam chale kyun kaha main ne ki sun lijiye rudad-e-sitam wo bigad kar uthe dete hue dushnam chale hazrat-e-'nuh' uthate hain jo tufan-e-sukhan shayad is ka ho ye matlab ki mera nam chale