falak ne sikha hai haalat ko zubun karna har ek ghar ko kisi tarah be-sutun karna simat ke aae na aashuftagi zamane ki dil-o-nigah mein ashkon se kuchh sukun karna hinai dast ko lahra ke khush fazaon mein khushi se laut ke aane ka ek shugun karna wo laut aae to shikwe bhi multawi honge hisab-e-dard ko ab aur kya fuzun karna fasil-e-shahr mein aaseb bhul jaane ka pahan ke yaad ki tawiz kya fusun karna na hosh aae mujhe pattharon ki basti mein utha ke sang mujhe sahib-e-junun karna jo dastaras mein ho tazin-e-jism-o-jaan agar kisi ki yaad se hi zinat-e-darun karna hua hai khun bhi 'sughra' ka khwab banne mein ki maslahat hi ki khatir na khwab khun karna