hairat-e-naz badi der se hairan jaanam baad muddat jo mili saat-e-imkan jaanam hain bahut aaj bhi tazin ke saman jaanam motiyan aur sadaf tar-e-gareban jaanam in hi yaadon mein hai tafsir-e-bahaaran jaanam bandh rakhiyo ye hain auraq-e-gulistan jaanam jis se tanhai ki tahzib sanwar jati hai tum hi batlao mere qurb ka unwan jaanam koi to pas hua karta hai apnon ki tarah raat jab dard se milti hai meri jaan jaanam khun-e-hasrat mein duboya hai qalam ko main ne ab to kat jaenge lamhat-e-pareshan jaanam roz khulte hain kisi wada-e-jaanan ke baghair phul mausam se nahin karte hain paiman jaanam hum ne girdab ki pazeb bana dali hai hath kangan mein saji gardish-e-dauran jaanam khush-guman lafz mein khushbu hai tere paikar ki kitna pur-kaif tere khat ka hai ehsan jaanam mushaf-e-nur nazar aai teri pak jabin tera chehra bhi to hai rashk-e-gulistan jaanam