falak pe chand nahin koi abr-para nahin ye kaisi raat hai jis mein koi sitara nahin ye inkishaf sitaron se bhar gaya daman kisi ne itna kaha jab ki wo hamara nahin zamin bhanwar ho jahan aasman samundar ho wahan safar kisi sahil ka istiara nahin main mukhtalif hun zamane se is liye shayad kisi khayal ki gardish mujhe gawara nahin khizan ke mausam-e-khamosh ne sada di hai jamal-e-dost ne phir bhi mujhe pukara nahin jo reza reza nahin dil use nahin kahte kahen na aaina us ko jo para-para nahin main zakhm zakhm sahi phir bhi muskuraya hun 'zafar' ba-nam-e-zafar haar ke bhi haara nahin