farogh-e-kasrat-e-jalwa se khud tamasha hun main us ke samne baitha hun aur tanha hun nigah-e-shauq-o-dil muztarib hain zad-e-safar shikasta-pa hun sar-e-rahguzar baitha hun badhaun dast-e-talab kya ki zarf mane hai lab-e-furaat khada hun main aur pyasa hun main apni zat mein ek kaenat hun khud bhi agarche zarra hun lekin muhit-e-sahra hun bikherta hun fazaon mein qahqahe 'athar' mata-e-dard ko dil mein chhupae phirta hun