falak un se jo badh kar bad-chalan hota to kya hota jawan se pesh-rau pir-e-kuhan hota to kya hota musallam dekh kar yaqub murde se hue bad-tar jo yusuf ka darida pairahan hota to kya hota hamara koh-e-gham kya sang-e-khara hai jo kat jata agar mar mar ke zinda kohkan hota to kya hota ata ki chadar-e-gard us ne apne marne walon ko hui khilqat ki ye surat kafan hota to kya hota nigah-ban jal gae chaar aankhen hote dekh kar us se kalim aasa kahin wo ham-sukhan hota to kya hota bada bad-ahd hai is shohrat-e-ifa-e-wada par agar mashhur tu paiman-shikan hota to kya hota muqaddar mein to likkhi hai gadai ku-e-jaanan ki agar 'afsar' shahanshah-e-zaman hota to kya hota