tishnagi baqi rahe diwangi baqi rahe ranj-o-gham hai is liye ta-ki khushi baqi rahe zakhm agar bhar jaega to bhul jaunga use ye dua do zakhm-e-dil ki tazgi baqi rahe qurbaten bhi duriyon ka ban gain aksar sabab is liye behtar hai un ki be-rukhi baqi rahe thahr jaana maut hai aur chalte rahna zindagi zindagi baqi rahe aawargi baqi rahe raushni hogi to kitne chehre honge be-naqab kah do ye 'afroz' se ki tirgi baqi rahe