falsafi kis liye ilzam-e-fana deta hai lafz-e-kun khud meri hasti ka pata deta hai ho gaya tark-e-marasim ko zamana lekin aaj tak dil teri nazron ko dua deta hai thartharaate hue hathon se dawa ke badle chaaragar aaj na jaane mujhe kya deta hai kuchh to hota hai hasinon ko bhi ehsas-e-jamal aur kuchh ishq bhi maghrur bana deta hai soz-e-ulfat se wo kam-maya-e-gham hai mahrum aatish-e-dil ko jo ashkon se bujha deta hai parda-dari bhi hai ek maslihat-e-khas-e-jamal shauq nazzare ki qimat ko badha deta hai zindagi de ke musibat mein hamein dal diya koi yun bhi kahin be-jurm saza deta hai dar mil hi gai mansur ko waiz warna kaun duniya mein mohabbat ka sila deta hai hae us bekas-o-majbur ki qismat 'arshi' sham se pahle hi jo shama jala deta hai