viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai tariki mein duba ghar main aur meri tanhai us ke qad ki khal-o-khad ki surat ki sirat ki baaten karte hain shab bhar main aur meri tanhai jaane kis din wo aa jae bante pyar asase darwaza kashkol nazar main aur meri tanhai hijr-ruton ke khamoshi ke dil ki betabi ke hain ek muddat se khugar main aur meri tanhai dard samundar mein 'arshad' thin shiddat-e-gham ki lahren dub rahe the bich bhanwar main aur meri tanhai