fan uDanon ka jab ijad kiya tha maine

fan udanon ka jab ijad kiya tha main ne
kuchh parindon ko bhi aazad kiya tha main ne

ab koi shahr ujadta hai to ye lagta hai
jaise is shahr ko aabaad kiya tha main ne

shor itna hua aangan mein ki phir bhul gaya
aaj barson mein use yaad kiya tha main ne

aap ayyash nahin aap bura man gae
zikr-e-sarmaya-e-ajdad kiya tha main ne

aaj-kal kuchh bhi nahin man raha hai 'azhar'
apne qabu mein jo ham-zad kiya tha main ne


2020-05-29 05:50:32 AM

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close