diyon se aag jo lagti rahi makanon ko mah o nujum jala den na aasmanon ko mere qabile mein kya shahr bhar se mil dekho koi bhi tir nahin deta be-kamanon ko shikastagi ne gira din saron pe diwaren mukhasimat thi makinon se kya makanon ko ye sochta hun wo kya husn-kar tesha tha jo aaise naqsh ata kar gaya chatanon ko yahi karegi kisi samt ka tayyun bhi isi hawa ne to khola hai baadbanon ko jahan ziden kiya karta tha bachpana mera kahan se laun khilaunon ki un dukanon ko