fana hua koi yahan khitab koi le gaya ibaadaten kisi ki thin sawab koi le gaya wafa ke jam ke liye sajae hum ne mai-kade magar labon se chhin kar sharab koi le gaya thi pyar ki faza magar zaban khuli na lab hile sitam ye us pe aankh se bhi aab koi le gaya ye khushbuen bikher ke mila hi kya bahaar ko larazti shakh rah gai gulab koi le gaya fasad ki haqiqaten likhi thin jis mein harf harf waraq waraq masal ke wo kitab koi le gaya sukun is tarah luta dil-e-wafa-shiar ka jo umr-bhar sajae the wo khwab koi le gaya fareb-e-pak-damani qadam qadam pe laghzishen wo 'amir' aaj umr ka hisab koi le gaya